Page Header

Page Header

Friday, September 4, 2015

Happy Janmashtami Wallpaper by sunil anand

happy janmashtami wallpaper by sunil anand

happy janmashtami wallpaper by sunil anand


Maiya Yashoda Ka Lal
Gokul Ka Gwal
Jinke Janm Se Hua
Gokul Aur Brij Ka Nihal
Rakhe Aapko Sada Khushhal
Mubarak Ho Aapko Janmashtami Tyohar
***
Makhan churakr jisne khaya, Bansi bajakr jisne nachaya, Khushi manao uske janm ki, Jisne duniya ko Prem shikhaya. 
HAPPY JANMASHATMI
***
Nand ke ghar Anand Hi Anand Bhayo, Jo Nand Ke Ghar Gopal Aayo, Jai Ho Murli Dhar Gopal ki, Jai Ho Kanhaiya Lal Ki.. 
Happy Janmashtami.
***

Tuesday, August 4, 2015

Alone Boy in Sea Boat Wallpaper

Alone boy in sea boat wallpaper by sunil anand
.करनी मुझे खुदा से
एक फरियाद बाकी है...
...कहनी मुझे उनसे
एक बात बाकी है...
...मौत भी ग़र आ जाए तो
मैं कह दूंगा जरा रुक...
...अभी मेरे महबूब से मेरी
मुलाक़ात बाकी है...

Friday, July 17, 2015

Sad Boy Wallpaper

Sad & alone boy wallpaper by sunil anand
Hum To Jal Gaye Uski Mohabbat Mein
Moam Ki Tarah…
Agar Phir Bhi Koi Humen Bewafa Kahe…To
Uski Wafa Ko Salam..

*************

Toote Hue Pyaale Mein Jaam Nahi Aata,
Ishq Mein Mareej Ko Aaraam Nahi Aata,
Ae Bewafa Dil Todne Se Pehle Ye Soch Liya Hota,
Ki Toota Hua Dil Kisi Ke Kaam Nahi Aata.

*************
Pathar Ki Yeh Duniya Jazbat Nahi Samajhti,
Dil Me Hai Jo Woh Bat Nahi Samajhti,
Tanha Toh Chand Bhi Hai Sitaron Ke Beech,
Magar Chand Ka Dard Bewafa Raat Nahi Samajhti.

*************

Tumhari Har Ek Baat Bewfai Ki Kahani Hai,
Lekin
Teri Har Saans Meri Zindagi Ki Nishani Hai,
Tum Aaj Tak Samajh Nahi Sake Mere Pyar Ko,
Isliye Mere Aansoo Bhi Tere Liye Pani Hai.
*************
Chaha tha jise use bhulaya na gaya,
Zakhm dil ka logo se chupaya na gaya,
Bewafai ke baad bhi itna pyar karta hai dil unse,
Ki bewafai ka ilzaam bhi uss par lagaya na gaya.

*************

Aaj Achanak Teri Yaad Ne Mujhe Rula Diya,
Kya Karu tumne Jo Mujhe Bhula Diya,
Na Karti Wafa Na Milti Ye Saza,
Shayad Meri Wafao Ne hi tujhe Bewafa bana diya.

*************

Kash ke hum unke dil pe raaj karte,
Jo kal tha wohi pyar aaj karte,
Hume gum nahi unki bewafai ka,
Bas Armaan tha ki hum bhi apne pyar pe naaz karte.

*************

Mat Puch Sabar Ki Inteha Kahan Tak Hai,
Tu Sitam Kar Le Teri Taqat Jahan Tak Hai,
Wafa Ki Umeed Kisi Aur Ko Hogi,
Humein To Dekhna Hai Tu Bewafa Kahan Tak Hai.

Friday, April 24, 2015

Ek Diwane ki Kahani Video


Hawa Majak Kar Gai...
Majak Hawa Kar Gai.. Song : Majak Hawa Kar Gai.. Punjabi Sad Song video created by Sunil Anand
Posted by Ek Diwane ki Kahani on Friday, February 7, 2014

Monday, March 23, 2015

Shaheed Diwas Wallpaper

Shaheed Diwas Wallpaper
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
Dekhna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai

Karta nahin kyun doosra kuch baat-cheet
Dekhta hun main jise woh chup teri mehfil mein hai
Aye shaheed-e-mulk-o-millat main tere oopar nisaar
Ab teri himmat ka charcha ghair ki mehfil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Waqt aanay dey bata denge tujhe aye aasman
Hum abhi se kya batayen kya hamare dil mein hai
Khainch kar layee hai sab ko qatl hone ki ummeed
Aashiqon ka aaj jumghat koocha-e-qaatil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Hai liye hathiyaar dushman taak mein baitha udhar
Aur hum taiyyaar hain seena liye apna idhar
Khoon se khelenge holi gar vatan muskhil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Haath jin mein ho junoon katt te nahi talvaar se
Sar jo uth jaate hain voh jhukte nahi lalkaar se
Aur bhadkega jo shola-sa humaare dil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Hum to ghar se nikle hi the baandhkar sar pe kafan
Jaan hatheli par liye lo barh chale hain ye qadam
Zindagi to apni mehmaan maut ki mehfil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Yuun khadaa maqtal mein qaatil kah rahaa hai baar baar
Kya tamannaa-e-shahaadat bhi kisee ke dil mein hai
Dil mein tuufaanon ki toli aur nason mein inqilaab
Hosh dushman ke udaa denge humein roko na aaj
Duur reh paaye jo humse dam kahaan manzil mein hai

Wo jism bhi kya jism hai jismein na ho khoon-e-junoon
Kya lade toofaanon se jo kashti-e-saahil mein hai

Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.
Dekhna hai zor kitna baazuay qaatil mein hai